Aaj ke samay jis tarah se hum har din ek nayi ghatna ke baar sunte hai, to ye keh sakte hai ki aaj ke samay me sab kuch Uncertain hai-health , job aur life , ye nahi paata kab kya ho jaye, isi ko dekhte hue aaj main Life Insurance ke baare baat karunga jaise ki ye kya hota hai, Life Insurance hame kyo leni chaiye,aur 2025 me iski kya Importance hai.
Life Insurance kya hota hai ?
Life insurance ek financial contract hota hai jisme aap (policyholder) regular premium dete ho, aur agar bhagwan na kare aapki death ho jaaye, toh insurance company aapke family ko ek fixed amount (sum assured) deti hai. Ye paisa aapke loved ones ya apke dependents ho sakte hai, ye financial help ke liye hota hai. kyunki life ,health Uncertain hai na?
SImply bola jaye to Life Insurance ek safety net hai jo apke nahi rehte hue aapki family ko financially protect karta hai.
Types of Life Insurance Policies ?
- 1. Term Plan-Sabse simple plan hota hai ye. Thode premium me jyada Sum Insurance mil jaata hai.
- 2.Whole Life Plan-Is tarah ke Plans ko aaj log bahoot pasand kar rahe hai, aapke puri life tak money back milta rahega,Sum Insured bhi year on year badta rahega, maturity amount bhi milega.
- 3.Endowment Plans- Life Cover + Savings. Term complete hone par Maturity amount mil jaayega.4.Ulip Plan – Insurance ke saath saath market ki achi returns bhi milti hai, SWP, TOP-UP bahoot acche options hai.
- 5. Child Plans & Retirement Plans- Age ke according Maturity amount le sakte hai aur pension ki returns year on year le sakte hai.
Why You Should Buy Life Insurance in 2025
Chaliye ab samjhte hain ki 2025 mein Life Insurance lena kyun zaroori hai:
- 1. Financial Security for Family
Agar aap family ke sole earner ho aur aagar apke saath kuch ho jaata hai, toh family ka kya hoga ,kya aap soch sakte ho?
Life insurance apke ke baad apki absence me bhi aapki family ko financially support jaise bills ,loan, education me help kar sakta hai !
- 2. Low Premium in Early Age.
Life Insurance lene ke liye jitni jaldi ho sake utni jaldi karna thik rahega, yaani aap ki age ke according hi Insurance ka premium decide hota hai , jitni kam age hogi utna hi kam mortality rate rahega.
- 3. Loan Protection
Agar aapke upar home loan, car loan ya personal loan hai, toh life insurance se woh burden aapke family pe nahi aayega. Insurance claim se loan repay ho sakta hai.
- 4. Tax Benefits
Under Section 80C of Income Tax Act, aapko premium pe tax rebate milta hai. Maturity amount bhi Section 10(10D) ke under tax-free hoti hai. So, life insurance karane par security ke saath tax savings bhi.
- 5. Future Planning ke Liye Help
Agar aap endowment plan ya ULIP plan lete ho toh usme long-term saving hoti hai jo aap future goals ke liye use kar sakte ho – jaise child’s marriage, child education, ya apne retirement planning ke liye.
Best Time to Buy Life Insurance?
Abhi! 2025 mein market mein kai saste aur flexible life insurance options available hain. (Bonus wale plan , Guaranteed returns wale plans)Aap apni age, income aur requirement ke hisaab se best life insurance policy choose kar sakte ho.
Common Myths About Life Insurance
Myth 1: Mujhe abhi zarurat nahi hai.
Fact: Death kabhi bhi aa sakti hai. Early lena best hai.
Myth 2: Bahut mehenga hota hai.
Fact: Term insurance ₹500/month se shuru ho jata hai.
Myth 3: Sirf breadwinner ko chahiye.
Fact: Ghar ke kisi bhi member jiska financial contribution hai, uske liye life insurance zaruri hai.
How to Choose the Right Life Insurance Plan
1. Compare Online –Aaj 2025 aap online ja ke har life insurance ke plan ,alag alag companies ke plan dekh sakte hai, compare kar sakte hai.
2. Check Claim Settlement Ratio-IRDA ke site se companies ke claim ratio ko dekh sakte hai.
3. Choose Right Coverage- Apki annual income ka 10-15 times ka minimum sum insurance hona chahiye.
4. Understand Terms & Conditions- Plan ke covers ko acchi tarah se samjho ,kya cover hai aur kya cover nahi hai.
Conclusion
Toh Friends, agar aap apni family se pyaar karte ho, unka future secure karna chahte ho, toh life insurance in 2025 lena ek smart decision hai. Ye sirf ek financial product nahi, ek emotional support bhi hai jo aapki life ke baad bhi aapke apno ke kaam aata hai.
“Life insurance na lena matlab apne loved ones ko financial risk mein chhod dena.”
So, aaj hi apni zarurat samjho, plan ko choose karo, aur secure future ki taraf ek strong kadam badhao.
2 thoughts on “What Is Life Insurance & Why You Should Buy It in 2025”